Muhabbat hijr ki dehliz par,
do jagti ankhon mein thehra ashk hai
Ik aisa ashk, jis mein wasal ka sapna larazta hai
Kay jaisay hawaz kay pani mein bheega aks,
Jhilmil khwab ka manzar
Kisi ki arghwani orhni par jhilmilata sitara,
Ya kisi khawahish ka tanha sa jazeera
Jis kay charon simat pani hai
Aur is pani mein jitnay seep hain, sab motiyon walay
Magar woh khera-kun moti kahan sab kay muqaddar mein
Yeh sab batein tumhein milnay par mujh ko tum say kehna theen
Magar janaan! tumhein dunya kay dhandhon say kahan fursat
Mujhay dar hai kahein aisa na ho jab tum ko fursat ho
To main keh doon
Mujhay ab kuch nahi kehna....